Shree Shani Chalisa in English : If you want to get the blessings of Lord Shani, then you must recite the Shani Chalisa. Recite the Shani Chalisa on Saturday. If you recite the Shani Chalisa in a temple or sitting under a Peepal tree, it will be very beneficial. If a temple or Peepal tree is not available, then you can recite the Shani Chalisa at home in the evening.
If you are going through the Mahadasha or Antardasha of Shani or the Sadhesati of Shani in your horoscope, then you must recite the Shani Chalisa. It will be very beneficial for you.

Shani Chalisa Lyrics in English:
Doha
Jai Ganesh Girija Suvan Mangal Karan Kripal ।
Denan Ke Dukh Door Kari Kijei Nath Nihal ॥
Jai Jai Shri Shanidev Prabhu Sunahu Vinae Maharaj ।
Karu Kripa He Ravi Tanae Rakhhu Jan Ki Laj ॥
Chalisa
Jayati Jayati Shanidev Deyala ।
Karat Sada Bhagatan Pratipala ॥
Chari Bhuja, Tanu Sham Viraje ।
Mathe Ratan Mukut Chhavi Chaje ॥
Param Vishal Manohar Bhala ।
Tedhi Drishti Bhrkuti Vikarala ॥
Kundal Shravan Chamacham Chamake ।
Hiye Maal Muktan Mani Damke ॥
Kar Me Gada Trishul Kuthara ।
Pal Bich Kare Arihi Sahara.Pingal ॥
Krishno, Chhaaya, Nandan ।
Yam Konsth, Raudra, Dukh Bhanjan ॥
Sauri, Mand Shani, Dash Nama ।
Bhanu Putra Pujahe Sab Kama ॥
Japar Prabhu Prasann Have Jahi ।
Rankhu Raav Kare shann Maahi ॥
Parvathu Trun Hoi Niharat ।
Trinahu Ko Parvat Kari Darat ॥
Raaj Milat Vann Ramahi Dinho ।
Kaikeihu Ki Mati Hari Linho ॥
Vanhu Me Mrig Kapat Dikhai ।
Matu Janki Gai Churai ॥
Lashanahi Shakti Vikal Karidara ।
Machiga Dal Me Hahakara ॥
Ravan Ki Gati-Mati Baurai ।
Ramachandra So Bair Badhai ॥
Diyo Keet Kari Kanchan Lanka ।
Baji Bajarang Bir Ki Danka ॥
Nrip Vikram Par Tuhi Pagu Dhara ।
Chitra Mayoor Nigali Gai Hara ॥
Haar Naulakha Lageo Chori ।
Hath Pair Daravao Tori ॥
Bhari Dasha Nikrasht Dikhao ।
Telahi Ghar Kolhu Chalvao ॥
Vinae Raag Deepak Mah Kinhao ।
Tab Prasann Prabhu Hve Sukh Dinho ॥
Harishchandra Nrip Nari Bikani ।
Aaphu Bhare Dom Ghar Pani ॥
Taise Nal Par Dasha Sirani ।
Bhunji-Meen Kud Gai Pani ॥
Shri Shankarahi Gaheo Jab Jai ।
Paravati Ko Sati Karai ॥
Tanik Vikalokat Hi Kari Resa ।
Nabh Udi Gato Gaurisut Seema ॥
Pandav Par Bhai Dasha Tumhari ।
Bachi Dropadi Hoti Ughari ॥
Kaurav Ke Bhi Gati Mati Mareyo ।
Yudh Mahabharat Kari Dareyo ॥
Ravi Kah Mukh Meh Dhari Tatkala ।
Lekar Kudi Pareye Patala ॥
Shesh Dev-Lakhi Vinati Lai ।
Ravi Ko Mukh Te Diyo Chudai ॥
Vahan Prabhu Ke Saat Sujana ।
Jag Diggaj Gardabh Mrig Svana ॥
Jambuk Sinh Aadi Nakh Dhari ।
So Phal Jyotish Kehat Pukari ॥
Gaj Vahan Lakshmi Greh Aave ।
Hay Te Sukh Sampati Upjave ॥
Gardabh Hani Kare Bahu Kaja ।
Singh Sidhakar Raj Samaja ॥
Jambuk Budhi Nasht Kar Dare ।
Mrig De Kasht Pran Sahare ॥
Jab Avahe Svan Savari ।
Chori Aadi Hoe Dae Bhari ॥
Taisi Chari Charan Yeh Nama ।
Svarn Lauh Chandi Aru Tama ॥
Lauh Charan Par Jab Prabhu Aave ।
Dhan Jan Sampati Nasht Karave ॥
Samta Tamra Rajat Shubhkari ।
Svarn Sarvasukh Mangal Bhari ॥
Jo Yah Shani Charitra Nit Gave ।
Kabhu Na Dasha Nikrisht Satave ॥
Adbhut Nath Dikhave Lela ।
Kare Shatru Ke Nashi Bali Dhila ॥
Jo Pandit Suyogya Bulavi ।
Vidhivat Shani Greh Shanti Krai ॥
Peepal Jal Shani Divas Chadhavat ।
Deep Daan hai Bahu Sukh Pavat॥
Kehat Ram Sundar Prabhu Dasa ।
Shani Sumirat Sukh Hot Prakasha ॥
Doha
Path Shanishchar Dev Ko Ki Ho Bhagat Teyar ।
Karat Path Chalis Din Ho Bhavsagar Paar ॥
यह भी पढ़ें :
श्री दुर्गा चालीसा (Shree Durga Chalisa)
श्री परशुराम जी की आरती (Shree Parshuram Aarti)
शिवरक्षास्तोत्रम् (Shiva Raksha Stotram)
परमेश्वर स्तुति स्तोत्रम् (Parameshwara Stuti Stotram)
श्री गणपत्यथर्वशीर्षम् स्तोत्रम्(Ganapati Atharvashirsha Stotram)